Ghazal time...

For fans of urdu poetry, like myself ... here's a beautiful one by Ahmed faraz!!

ranjish hi sahi .. dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe .. chhod ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii .. phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi .. nibhane ke liye aa

kis kis ko batayenge .. judaai ka sabab hum
tu mujhse khafaa hai tou .. zamaane ke liye aa

kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi .. mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se hoon .. lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan .. mujh ko rulaane ke liye aa...

maana ki mohabbat ka .. chhupaana hai mohabbat
chupke se kisii roz .. jataane ke liye aa

jaise tujhe aate hain .. na aane ke bahaane
aise hii kisii roz .. na jaane ke liye aa

ab tak dil-e-khushfeham ko .. tujh se hain ummeden
ye aakharii shammen bhi .. bujhaane ke liye aa

Comments

Popular posts from this blog

Coorg Trip - The Scotland of India

Love Letters - Play performed by Rajit Kapur

Aise he...